Arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain
gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain
na nigah na payam na wada
nam ko ham bhi yar rakhte hain
chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain
phir bhi karte hain “Mir” sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain
The post Meer Taqi Meer Sad Ghazal SMS Messages appeared first on Fb ki dunya.com.