Quantcast
Channel: Urdu Ghazal – Fb ki dunya.com
Viewing all 61 articles
Browse latest View live

Urdu Sad Shayari- Jeenay ki Umeed Day Do

$
0
0
Mujhe jeenay ki umeed dobara day do.
Meri doobti kashti ko kinara day do.

Main dard k sahil pe tanha kharra hoon,
Phir aa k apni baanhon ka sahara day do.

Tera daman to bhara ha sitaron se.
Mujhe sadqay me aik sitara day do.

Maray aangan me aaj andhera hai bohat.
Meri dehleez ko phir apna nazara day do,

Chand lamhaytujhay dekhnay ki Hasrat hai bus.
main nay kab kaha waqt apna mujhay sara day do.

The post Urdu Sad Shayari- Jeenay ki Umeed Day Do appeared first on Fb ki dunya.com.


Zahid Masood Urdu miss you ghazal shayari

$
0
0

Zahid Masood Urdu miss you ghazal  shayari, zahid masood yaad shayari urdu ghazal terii yaad , poetry, sms
Bicchar ke tujh se terii yaad ke nagar aaye
ke ek safar se ko’ii jaise apne ghar aaye

hamaare saath rukegii hamaarii tanhaa’ii
tumhaare saath gaye jo bhii dar-ba-dar aaye

gumaan bhaTakne lage the pas-e-nigaah magar
chiraaGh duur se jalte hu’e nazar aaye

chhaTaa Ghubaar to raahoN meN kitne phuul khile
bajii jo Daff to fasiilon pe kitne sar aaye

bahaar raas na aayii qafas-nashiinoN ko
uraan bhuul gaye juunhii baal-o-par aaye

The post Zahid Masood Urdu miss you ghazal shayari appeared first on Fb ki dunya.com.

Is Qadar Musalsal Thin Shidaten Judai Ki Ghazal by Ahmad Faraz

$
0
0

Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
Aj pahali bar main ne us sa bevafai ki
Varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
Ya to tut kar roya ya gazalsarai ki
Taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
Aj un se majburan taza ashanai ki
Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
Tune kis ghari zalim meri hamnavai ki
Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
Ap se koi puche ham ne kya burai ki
Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
Dekhrna ura dega phir khabar rihai ki

The post Is Qadar Musalsal Thin Shidaten Judai Ki Ghazal by Ahmad Faraz appeared first on Fb ki dunya.com.

poetry by Amjad islam Amjad-Ankhon kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa

$
0
0
poetry by Amjad islam Amjad Ankhon kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa, urdu ghazal ankhy shayari ankhon kaa rang amjad islam amjad , poetry, sms
Ankhon kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shakhs ek shaam men kitnaa badal gayaa !

kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

qadmon tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiin rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

manzar kaa rang asl men saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

andar ke mausamon kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

apnii galii meN apnaa hii ghar dhhundhtee hain log
“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

 

The post poetry by Amjad islam Amjad-Ankhon kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa appeared first on Fb ki dunya.com.

Urdu Wafa SMS Ghazal Poetry – Us ki Wafa Na Haasil Hui

$
0
0
Dil say wisaal-e-yaar ka armaan bhi gya
Dekho jo ghar udas to mehman bhi gya


Kar li hai uss ne phir gham-e-jana se dosti
Lo apne haath se dil-e-nadaan bhi gya


Mushkil tha apni raah pe lana usay magar
Tha baat mein khuloos to wo maan bhi gya


Dikhlaye kya bahaar ne josh-e-junoon kay rang
Daaman bacha rahay thay garaiban bhi gya


Us ki wafa kabhi bhi na haasil hui mujhe
Main uss kay darr pe le ke dil-o-jaan bhi gya 

The post Urdu Wafa SMS Ghazal Poetry – Us ki Wafa Na Haasil Hui appeared first on Fb ki dunya.com.

Ahmad faraz Ghazal-Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain

$
0
0

 

Ahmad faraz Ghazal Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain, urdu ghazal suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain ahmad faraz , poetry, sms

 

Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain

So us k shehar main kuch din thehar k dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se

So apne aap ko barbaad kar k dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hai chasm-e-nazuk us ki

So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-e-shayari se shagaaf

So hum bhi moujze apne hunar k dekhte hain

Suna hai bole to batoon se phool jharte hain

Ye Baat hai to chalo baat kar k dekhte hain

Suna hai raat usse chand takta rehta hai

Sitare baam-e-falak se utar k dekhte hain

Suna hai hasher hain us ki ghazal si aankhen

Suna hai us ko hiran dasht bhar k dekhte hain

Suna hai din ko usse titliyan satati hain

Suna hai raat ko jugnu thahar k dekhte hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai

So us ko surma faroosh ankh bhar k dekhte hain

Suna hai us k labon se gulaab jalte hain

So hum bahaar pe ilzaam dhar k dekhte hain

Suna hai aaiyna tamsaal hai jabeen us ki

Jo saada dil hain usse ban sanwar k dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki garden main

Mizaaj aur hi laal-o-gauhar k dekhte hain

Suna hai chashm-e-tasswur se dasht-e-imkaan main

Palang zaaviya us ki kamar k dekhte hain

Suna hai us k badan k taraash aise hain

K phool apni qabayen katar k dekhte hain

Bus ik nazar se lut’ta hai qafila dil ka

So rahrawan-e-tammana bhi dhar k dekhte hain

Suna hai us k shabistan se mutasil hai bahisht

Makeen udher k bhi jalwe idher k dekhte hain

Ruke to gardishen us ka tawaaf karti hain

Chale to us ko zamane thehar k dekhte hain

Kise naseeb k be perahan usse dekhe

Kabhi kabhi dar-o-dewaar ghar k dekhte hain

Kahaniyan hi sahi sab mughalbe hi sahi

Agar wo khuab hai to tabeer kar k dekhte hain

Ab us k shehar main thehren k kooch kar jayen

“FARAZ” aao sitare safar k dekhte hain

 

The post Ahmad faraz Ghazal-Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain appeared first on Fb ki dunya.com.

Meer Taqi Meer Sad Ghazal SMS Messages

$
0
0
Arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain

barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain

gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain

na nigah na payam na wada
nam ko ham bhi yar rakhte hain

ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain

chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain

phir bhi karte hain “Mir” sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain

The post Meer Taqi Meer Sad Ghazal SMS Messages appeared first on Fb ki dunya.com.

-Urdu Ghazal by Ahmad Faraz-apane sivaa hai kaun teraa

$
0
0
Ay aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye kin nazaron se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye

hameshaa ke liye mujh se bichhaD jaa
ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye

Galat hai jo sunaa par aazamaa kar
tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye

ye maharuumii nahiin paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

yahii to aashnaa banate hai aaKhir
koii naa-aashnaa dekhaa na jaaye

’Faraz’ apane sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye
 

The post -Urdu Ghazal by Ahmad Faraz-apane sivaa hai kaun teraa appeared first on Fb ki dunya.com.


Urdu Sad Ghazal Shayari­- Ek shakhs ko dekha tha

$
0
0
Ek shakhs ko dekha tha tarun ki trh hm na
 Ek shakhs ko chaha tha apnu ki trh hm na

Ek shakhs ko smjha tha pholon ki trh hm na
VO shakhs qyamt tha kia uski kre baten

Din us k lie peda or us ki hi theen raten
Km milta ksi sa tha hm sa theen mulaqaten

Rang uska shahabi tha zulfun ma theen mehkaren
Ankhen theen k jadu tha palken theen k talwaren

 Dushman b agr dekhen so jan sa dil haren
Kuch tm sa vo milta tha, baton ma shabaht thee

Han tm sa hi lgta tha shoqi ma sharart ma
Lagta b tm hi sa tha dastore muhbt ma

VO shakhs hmen ek din apnun ki trh bhola
Tarun ki trh dhoba, pholon ki trh tota

Phr hath na aya vo,hm na boht dhonda
Tm ks lie chonke ho, kb zikr tmhara ha

Kb tm sa tqaza ha, kb tm sa shekayt ha
Ek taza hekayt ha sun lo to enayt ha

The post Urdu Sad Ghazal Shayari­- Ek shakhs ko dekha tha appeared first on Fb ki dunya.com.

Urdu Loving SMS Messages Poetry Shayari

$
0
0
Aankhon Se Mere Iss Liye Laali Nahi Jaati
Yaadon Se Koi Raat Jo Khaaali Nahi Jaati.

Maangay Agar Jaan Bhi To Hans Kay Tujhay De Dein.
Teri To Koi Baat Bhi TAAALI Nahi Jaati

Aaye Koi Aa Kar Yeh Tera Dard Sambhaalay
Hum Se To Yeh Jaageer Sambhaali Nahi Jaati

HumRaah Tere Jo Phool Khilaati Thi Dil Mein
Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahi Jaati

Hum Jaan Se Jaayenge Tabhi Bat Banay Gee.

Tujh Se To Koi Raah Nikaali Nahi Jati

The post Urdu Loving SMS Messages Poetry Shayari appeared first on Fb ki dunya.com.

Ankhy Shayari-Ankhion mian koi khwab uternay nahi detha

Best Ghazal of Meer Taqi Meer -Shab ko wo pie sharab nikla By

URDU very SPECIAL Mohabbat Ki Shayari SMS

$
0
0

‘MAINE ULFAT KA BHARAM SB SAI JUDA RAKHA HAI
‘GOYA SEENY MAY TUJHY DIL KI JAGA KAKHA HAI

”DIL YEH CHAHY K TU KABI BADNAM NA HO
”DEKH ZIKR TERA HAI MAGAR NAAM CHUPA RAKHA HAI

”MERE JIS HATH SE KIA THA TU NE MUSAFHA
”DHOYA HI NAI HONTON SE LAGA RAKHA HAI

”AB MAY SAMJHA TERE RUKHSAR PAKARNY KA
”DIL SE DIL KA HAI KITNA FASLA YEH B LIKHA HAI


”KIYA USY LIKHSIN ””” ””” KIA USY KAHAIN””
”JIS NE BEJAAN KR K JAAN BHI LIKHA HAI…….

The post URDU very SPECIAL Mohabbat Ki Shayari SMS appeared first on Fb ki dunya.com.

Breakup Urdu Ghazal Poetry SMS Message

$
0
0



Ghuruub-e-mehr kaa manzar Gharii huvii guzraa
bas aik pal ko niyastaan usii tarah larzaa


giyaah-e-sabz kii Khushbuu usii zamaane kii
usii tarah kii masarrat bahaar aane kii


vuhii jamaal-e-dar-o-saqf-o-baam hai main huun
kinaar-e-raud-e-siah-faam-e-shaam hai main huun

 

The post Breakup Urdu Ghazal Poetry SMS Message appeared first on Fb ki dunya.com.

Best Poetry sad Ghazal By Abdul Hamid Adam

$
0
0

Hans ke bolaa karo bulaayaa karo


Aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo



uskurahaT hai husn kaa zevar


Mrup badhataa hai muskuraayaa karo


Ad se baD kar hasiin lagate ho


HJhuuThii qasmen zaruur khaayaa karo


ukm karanaa bhii ek saKhaavat hai


Ham ko Khidamat koii bataayaa karo


aat karanaa bhii baadashaahat hai


Bbaat karanaa na bhuul jaayaa karo


aa ke duniya kii dil_kashii na ghaTe


Tnit naye pairahan men aayaa karo


Us galii men bahut na jaayaa karo


Kitane saadaa mizaaj ho tum 'Adam'

The post Best Poetry sad Ghazal By Abdul Hamid Adam appeared first on Fb ki dunya.com.


Great Romantic Urdu Love Poem-Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko

$
0
0
Great Romantic Urdu Love Poem Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko, urdu poems urdu ghazal tum mere ho , poetry, sms

Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko

Main Hanste Achha Lagta Hoon
Is Baat Ko Pahroon
Yaad Main Kar Ke
Ab Pal Pal Rota Rehta Hoon
Jin Aankhon Ko Dekh Kar Kaha ThaUs Ne
In Se Maat Maine Khayi Hai
In Aankhoon Mein Ab Kuch Bhi Nahi
Bas Ek Hi Gham Ki Parchhayi Hai
Us Ka Yeh Kehna Yaad Hai Mujh Ko
Tum Se Pyaar Main Karti Hoon
Har Pal Mere Sath Hote Ho
Haan Yah Iqraar Main Karti Hoon
Woh Door Suhane Sapnon Ka Sab Jhoot
Par Mabni Nikla Tha
Tumhe Pehchanne Se Bhi Inkaar Tha
Yoon Roop Tumhara Badla Tha
Ab Haal Hai Apna Kuch Aisa
Sab Ke Taane Sunta Rehta Hoon
Tum Mere The
Tum Mere Ho
Ab Sab Se
Yahi Kehta Hoon

The post Great Romantic Urdu Love Poem-Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko appeared first on Fb ki dunya.com.

Ahmad faraza ghazal-Karon Na Yad Agar Kis Tarah Bhulaon Use

$
0
0

karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use
wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use
ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use
magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use
vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use
jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai ‘Faraz’
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

The post Ahmad faraza ghazal-Karon Na Yad Agar Kis Tarah Bhulaon Use appeared first on Fb ki dunya.com.

Urdu Famous Poet Wasi Shah urdu Ghazal SMS Poetry Messages

$
0
0
Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hon
Tujh Say Agy Ka Safar Dekh K Dar Jata Hon
Roz Dhalty Howey Suraj Ki Tarha, Sham Gaye
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hon

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi
Main Bhi Raton Ko Zara Dair Se Ghar Jata Hon
Main Ne Bhi Jurm-E-Baghawat K Sitam Jhiley Hain
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hon
Chal Para Hon Main Zamany K usolon Pe “WASI”
Main Bhi Ab Apni hi Baton Sy Mukar Jata Hon

The post Urdu Famous Poet Wasi Shah urdu Ghazal SMS Poetry Messages appeared first on Fb ki dunya.com.

Wafa Urdu Sad Mobile SMS Ghazal Shayari Message

$
0
0
Rothna khafa rehna,Ye Wafa nahi hoti,
Chahaton mein logon se kya khata nahi hoti.
Sab ko aik jaisa kyun tum samajhne lagte ho,
Kyun k saari duniya to bewafa nahi hoti,
Har kisi se yaari har kisi se waaday,
Pyar karne walon mein ye ada nahi hoti,
Be-Naqaab Chehre bhi ek Hijaab rakhte hain,
Sirf saat Pardon mein to haya nahi hoti,
Sab kuch kho diya tumhare pyar mein hum ne,

Kya ye b Chahat ki intha nahi hoti.

The post Wafa Urdu Sad Mobile SMS Ghazal Shayari Message appeared first on Fb ki dunya.com.

urdu sad ghazal-Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata hy

$
0
0
Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata hy,
Kar k khafa mujhko manana bhol jata hy,

Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh k naam dewaron pe mitana bhol jata hy, 

Mat poch muhabat mein la parwahi uski,
Dy k zakhm wo marham lagana bhol jata hy,

Kitna dilnashin hota hy uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhol jata hy

The post urdu sad ghazal-Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata hy appeared first on Fb ki dunya.com.

Viewing all 61 articles
Browse latest View live